Thursday, June 6, 2019

JUMA MUBARAK 7 June 2019

بِسْمِ اللّهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
As salam o alaikum w.r.w.b
Tamam momeneen o momenaat ko Eide Juma ki bahut bahut mubarakbad
Dua E Nudba
اذ کان هوا المنذر و لکل قوم هاد
Wo munzir the aur har qaum ke liye aik hadi zarori hai .
Quran majeed ne bar bar nabi e kareem ko is sifat ke sath yaad kiya hai , sure ahzab ki 45 ayet me elan hota hai : “ aye nabi ! hamne aap ko gawah aur basharat dene wala aur darane wala bana kar bheja hai .
Janab ibne abbas (r.a) se rewayat hai ki paighambar (s.w) ne farmaya : “ mai munzir hoN aur hadi bani hashim me se aik mard hai.”
Juwaini  ne farayedus simtain me ayate “ innama anta munzir” ke zail me naql kiya hai ki rasool khuda (s.w) ne farmaya : aye muhammat tum azabe khuda se darane wale ho aur ALI(a.s) hedayat karne wale haiN “
Tafsire burhan me imam Muhammad baqir (as) se rewayat hai ki “ Rasool khuda (s.w) munzir haiN aur Ali (a.s) hadi haiN , khuda ki qasam ye sifate hedayat hamare khandan se qayamat tak khatam na hogi .”
Yani qayamat tak ane wale hadi hamare hi khandan se honge .
Hamwaini ne aik rewayat naql kiya hai ki , aik yahodi ne nabi bahut se sawalat kiye us me se aik sawal ye tha ki har nabi ka wasi hota hai jaise Hazrat Musa (a.s) ke Wasi Yosha bin Noon (a.s)the , aap ka wasi kaun hai ?
Nabi (s.w) ne jawab diya : mere Wasi Ali(a.s) haiN unke bad Hasan(a.s) phir Husain(a.s) haiN aur unke bad Husain(a.s) ken au(9)bête wasi honge .
Yahodi ne unke naam daryaft kiye to nabi (s.w) ne tamam imamon ke naam bayan kiye .
Is elahi hedayat ka silsila aaj bhi pardae ghaib se jari hai .
Khudawande kareem hadiye ghayeb ko zahir kar ke ham par Ehsan farma .Aameen
Iltemas e dua E Zuhoor
S.Haider Abbas Rizvi
Mumbai

No comments: