Sunday, July 14, 2019

11zil qada ; Roze weladate HAZRAT IMAM ALI IBNE MUSA AL REZA (a.s)

بسم الله الرحمن الرحيم
As salam o alaikum w.r.w.b
11zil qada ; Roze weladate HAZRAT IMAM ALI IBNE MUSA AL REZA (a.s)
Ham IMAM RAZA(a.s) ki weladat ke mauqe par IMAM ZAMANA(a.t.f) aur tamam momneen o momnaat ki khidmat me MUBARAKBAD  pesh karte haiN .
Khuda wande kareem Maidane Hashr me Hamko IMAM ke hamrah Mahshoor farmaye . aameen
Short Biography of IMAM RAZA (a.s)
Name: ALI
Walid: IMAM MUSA KAZIM(a.s)
Waleda : Najma khatoon(s.a)
Alqab: Raza, Alime aale Muhammad(a.s)
Kuniyat : abul hasan sani
Weladat : 11zilqada 148 hijri
Jaye weladat : madina munawwera
Shahadat : 23 zilqada 203 hijri(29 safar 203 hijri)
Qabr: khurasan (IRAN)
Zauja : sabeeka khatoon
Awlad : 1beta(imam taqi (a.s)
Qatil: Mamooon rasheed
Kul umr: 55 sal
Muddate imamat: 20 sal
Imam Raza(a.s) ne farmaya: Har insan ka dost uski aql hai aur jehalat uski dushman hai .
(Tohaful uqool page 443)
Imam Raza(a.s) ne farmaya:kanjoos ko kabhi aram nahi milta , hasad karne wale ko zindagi ki lazzat mahsos nahi hoti, badshahoN me wafa nahi hoti aur jhoote ke andar mardangi nahi payi jati .
(Tohaful uqool page 450)
Iltemase dua
Haider Abbas rizvi
Jogeshwari(w)
MUMBAI

AHADISE MAULA IMAM RAZA (a.s)

IMAM RAZA (a.s) ki mukhtasar AHADIS
IMAM RAZA (a.s) ne farmaya: jo bhi aisi majlis me baithe jahan hamen yad kiya jata ho to uska dil us din zinda rahega jis din sare dil murda honge.
Wasayelus shia , jild44 , pg 278
IMAM RAZA (a.s) ne PAIGHAMBAR (s.w) se naql farmaya : Qayamat ke din ham se sab se ziyada nazdik woh shakhs hoga jis ka akhlaq sab se acha ho aur woh apne ahl o ayal ke sath acha sulook karta ho.
Sahifatul imamir reza a.s, page67
Iltemase dua
IMAM RAZA (a.s) ne farmaya: har insaan ki aqal uska dost hai aur jehalat uski dushman hai.
Tohaful uqool page 467

IMAM RAZA (a.s) ne farmaya:Allah ne apna aur waledain ka shukriya ada karne ka hukm diya hai, isliye jisne apne waledain ka Sukriya ada nahi kiya usne khuda ka shukriya bhi ada nahi kiya .
Khesal e shaikh sadooq-rh- pg 156

IMAM RAZA (a.s) ne farmaya: aik aisa zamana ayega jab afiyat ke 10 hisse honge nau hissa logon se doori ekhteyar karne me hoga aur aik hissa khamoshi me hoga.
Tohaful uqool page 470
hadis ki wazahat
Yun to islam musalmano ko ittehad aur ijtema ki dawat deta hai aur tanhayi aur ruhbaniat ko na pasand karta hai lekin ye hukm us wqt tak hai jab tak ijtema sahi e salim ho aur deen ke haq me mufeed ho. Warna aisi bhid ke sath rahne me koyi bhalayi nahi jahan deen ko khatra lahiq ho.
IMAM SAJJAD a.s duae makarimul akhlaq me is tarah dua farmate hain.
Khudaya hame taqwa ki quwwat ata farma aur apni ita,at ke zariye usko kamil bana de, aur hame jamaat (logon) ke sath rahne ki taufeeq de. Aur ahle bidat aur deen me apni manmani karne walon se door rakh.
Natija ye ki deendar logon ke sath rahna hai aur be deen logon se door rahna hai.
Lehaza jab be deen log ziada hon to afiyat aur salamati unse door rahne me hi hai .

IMAM RAZA (a.s) ne farmaya: deen shenasi ki pahchan burdbaari aur Elm hai, awr khamoshi hikmat ke darwazon me se aik darwaza hai, khamoshi se mahbobiat me izafa hota hai aur ye har achayi ki taraf rahnumayi karti hai.
Tohaful uqool, page 469

IMAM RAZA (a.s) ne farmaya: azane subh se suraj nikalne tak farishte insan ka rizq taqsim karte hain jo is bich so jayega wo rizq se mahroom rahega.
Tahzibul ahkam ,jild2, pg242, hadis 957

Jo bhi kisi momin ke gham o andoh ko door karega, qayamat ke din khuda har tarah ka ranj o gham us ke dil se door rakhe ga.
Usool e kaafi, jild3, page 268

IMAM RAZA (a.s) ne farmaya: imaan ka MATLAB wajebat ko ada karna aur haram se parhez karna hai, aur imaan dil me yaqeen rakhna, zaban se iqrar karna aur ahkaam par amal karne ka nam hai.
Tohaful uqool, page 444


IMAM RAZA (a.s) ne farmaya: Imaan ke 4 rukn Hain; Allah par pura bharosa rakhna, Allah ke faisle par raazi Rahna, khuda ke hukm ke samne taslim rahna aur apne tamam kamon ko khuda ke hawale kar Dena.
Tohaful uqool, page 469
IMAM RAZA (a.s) ne farmaya: khuda ke bare me acha guman rakho beshak ALLAH ka ye farman hai : mai waisa hon jaisa mera momin banda mere bare me guman rakhta hai.
Agar uska guman acha hoga to hamara sulook acha hoga, aur agar uska guman bura hoga to hamara sulook bhi bura hoga .
Usool kafi, jild 3, page116