Sunday, July 14, 2019

11zil qada ; Roze weladate HAZRAT IMAM ALI IBNE MUSA AL REZA (a.s)

بسم الله الرحمن الرحيم
As salam o alaikum w.r.w.b
11zil qada ; Roze weladate HAZRAT IMAM ALI IBNE MUSA AL REZA (a.s)
Ham IMAM RAZA(a.s) ki weladat ke mauqe par IMAM ZAMANA(a.t.f) aur tamam momneen o momnaat ki khidmat me MUBARAKBAD  pesh karte haiN .
Khuda wande kareem Maidane Hashr me Hamko IMAM ke hamrah Mahshoor farmaye . aameen
Short Biography of IMAM RAZA (a.s)
Name: ALI
Walid: IMAM MUSA KAZIM(a.s)
Waleda : Najma khatoon(s.a)
Alqab: Raza, Alime aale Muhammad(a.s)
Kuniyat : abul hasan sani
Weladat : 11zilqada 148 hijri
Jaye weladat : madina munawwera
Shahadat : 23 zilqada 203 hijri(29 safar 203 hijri)
Qabr: khurasan (IRAN)
Zauja : sabeeka khatoon
Awlad : 1beta(imam taqi (a.s)
Qatil: Mamooon rasheed
Kul umr: 55 sal
Muddate imamat: 20 sal
Imam Raza(a.s) ne farmaya: Har insan ka dost uski aql hai aur jehalat uski dushman hai .
(Tohaful uqool page 443)
Imam Raza(a.s) ne farmaya:kanjoos ko kabhi aram nahi milta , hasad karne wale ko zindagi ki lazzat mahsos nahi hoti, badshahoN me wafa nahi hoti aur jhoote ke andar mardangi nahi payi jati .
(Tohaful uqool page 450)
Iltemase dua
Haider Abbas rizvi
Jogeshwari(w)
MUMBAI

AHADISE MAULA IMAM RAZA (a.s)

IMAM RAZA (a.s) ki mukhtasar AHADIS
IMAM RAZA (a.s) ne farmaya: jo bhi aisi majlis me baithe jahan hamen yad kiya jata ho to uska dil us din zinda rahega jis din sare dil murda honge.
Wasayelus shia , jild44 , pg 278
IMAM RAZA (a.s) ne PAIGHAMBAR (s.w) se naql farmaya : Qayamat ke din ham se sab se ziyada nazdik woh shakhs hoga jis ka akhlaq sab se acha ho aur woh apne ahl o ayal ke sath acha sulook karta ho.
Sahifatul imamir reza a.s, page67
Iltemase dua
IMAM RAZA (a.s) ne farmaya: har insaan ki aqal uska dost hai aur jehalat uski dushman hai.
Tohaful uqool page 467

IMAM RAZA (a.s) ne farmaya:Allah ne apna aur waledain ka shukriya ada karne ka hukm diya hai, isliye jisne apne waledain ka Sukriya ada nahi kiya usne khuda ka shukriya bhi ada nahi kiya .
Khesal e shaikh sadooq-rh- pg 156

IMAM RAZA (a.s) ne farmaya: aik aisa zamana ayega jab afiyat ke 10 hisse honge nau hissa logon se doori ekhteyar karne me hoga aur aik hissa khamoshi me hoga.
Tohaful uqool page 470
hadis ki wazahat
Yun to islam musalmano ko ittehad aur ijtema ki dawat deta hai aur tanhayi aur ruhbaniat ko na pasand karta hai lekin ye hukm us wqt tak hai jab tak ijtema sahi e salim ho aur deen ke haq me mufeed ho. Warna aisi bhid ke sath rahne me koyi bhalayi nahi jahan deen ko khatra lahiq ho.
IMAM SAJJAD a.s duae makarimul akhlaq me is tarah dua farmate hain.
Khudaya hame taqwa ki quwwat ata farma aur apni ita,at ke zariye usko kamil bana de, aur hame jamaat (logon) ke sath rahne ki taufeeq de. Aur ahle bidat aur deen me apni manmani karne walon se door rakh.
Natija ye ki deendar logon ke sath rahna hai aur be deen logon se door rahna hai.
Lehaza jab be deen log ziada hon to afiyat aur salamati unse door rahne me hi hai .

IMAM RAZA (a.s) ne farmaya: deen shenasi ki pahchan burdbaari aur Elm hai, awr khamoshi hikmat ke darwazon me se aik darwaza hai, khamoshi se mahbobiat me izafa hota hai aur ye har achayi ki taraf rahnumayi karti hai.
Tohaful uqool, page 469

IMAM RAZA (a.s) ne farmaya: azane subh se suraj nikalne tak farishte insan ka rizq taqsim karte hain jo is bich so jayega wo rizq se mahroom rahega.
Tahzibul ahkam ,jild2, pg242, hadis 957

Jo bhi kisi momin ke gham o andoh ko door karega, qayamat ke din khuda har tarah ka ranj o gham us ke dil se door rakhe ga.
Usool e kaafi, jild3, page 268

IMAM RAZA (a.s) ne farmaya: imaan ka MATLAB wajebat ko ada karna aur haram se parhez karna hai, aur imaan dil me yaqeen rakhna, zaban se iqrar karna aur ahkaam par amal karne ka nam hai.
Tohaful uqool, page 444


IMAM RAZA (a.s) ne farmaya: Imaan ke 4 rukn Hain; Allah par pura bharosa rakhna, Allah ke faisle par raazi Rahna, khuda ke hukm ke samne taslim rahna aur apne tamam kamon ko khuda ke hawale kar Dena.
Tohaful uqool, page 469
IMAM RAZA (a.s) ne farmaya: khuda ke bare me acha guman rakho beshak ALLAH ka ye farman hai : mai waisa hon jaisa mera momin banda mere bare me guman rakhta hai.
Agar uska guman acha hoga to hamara sulook acha hoga, aur agar uska guman bura hoga to hamara sulook bhi bura hoga .
Usool kafi, jild 3, page116

Monday, June 17, 2019

hasad aur jalan


بسم الله الرحمن الرحیم
Salamun alaikum w.r.w.b
قال الامام الصادق عليه السلام : ایـاکـم ان یحسـد بعضکـم بعضـا فـان الکفـر اصله الحسـد.
تحف العقول ، ص ۳۱۵
امام صادق علیہ السلام نے فرمایا: ایک دوسرے سے حسد کرنے سے پرہیز کرو اس لئے کہ کفر کی اصل وجہ یہی حسد ہے ۔
تحف العقول ، ص ۳۱۵
IMAM SADIQ (a.s) ne farmaya: Aik dosre se hasad karne se parhez karo is liye ki kufr ki asal wajah yahi hasad hai .
Tohaful uqool , page 315
इमाम सादिक़ (अ स ) ने फ़रमाया : एक दूसरे से हसद करने से परहेज़ करो इस लिए कि कुफ्र की असल वजह यही हसद है
तोहफुल उक़ूल , पेज ३१५
Iltemase dua

Thursday, June 13, 2019

roze juma 14june


As salam o alaikum w.r.w.b
Roze juma Mubarak baad
Mahe shawwal ki 8 tarikh ko Saud ki aulad ne qabrastan e baqi me maujood ayimma aur ashabe paighambar(s.w) ki qabroN ko mismar  kar dala .
Aale Muhammad(a.s) ke dushmanoN ka na ye koyi pahla karnaama tha aur na hi akheri hai , balki khuda ki taraf se di huwi muhlat ko apne gunahon par pashemani  ke bajaye zulm o jenayat ke zariye barbad kar rahe haiN aur anqareeb ane wala ayega aur unke zulm ka khatma kar ke inko inke kaifare kirdar tak pahuncha dega .
Beshak ye log us din ko door samajh rahe haiN lekin hame wo din bahut nazdik nazar aa raha hai .
Khuda jald az jald hamare IMAM ko Zahir farmaye aur ham apni ankhon se in zalimon ka anjam dekheN . aameeen
Dua E Nudba
فقال و الملا امامه من کنت مولاه فعلی مولاه
“ Nabi(s.w) ne aik bhare majme ke samne farmaya ki mai jis ka maula hon Ali(a.s) bhi uske maula hain “
Ghadeer khum me jis waqt Nabi e kareem (s.w) Maula ALI(a.s) ki welayat ka elan farmaya us wqt wahan par kitne log musalman maujod the .
Rewayat me 1300 se lekar 120000 tak ki tadad likhi gayi hai .
 1. allama ibne shaher ashob ne IMAM BAQIR (a.s) se rewayat ki hai ki ghadeer me maujod logon ki tadad 1300 thi . tafsir furat kufi me bhi yahi tadad naql ki gyi hai .
2. tafsir ayashi me, sure mayeda ki 67ayet ke zail me IMAM SADIQ(a.s) se rewayat hai ki ghadeer me logon ki tadad 10000, thi , 5000 log madine se nabi ke sath gye the aur 5000 ki tadad haj se wapas hone wale musalmano ki thi jo nabi ke sath sath us maqam tak aye the .
3. Ayashi ne sure mayeda ki 55 ayet ki tafsir me Safwan e jammal ke waste se IMAM SADIQ(a.s) se naql kiya hai ki ghadeer me logon ki tadad 12000 thi .
Sath hi is bat par tajjub ka izhar kiya hai ki insan ke pass do gawah hon to apna haq hasil kar leta hai lekin Ali(a.s) ke pass 12000 gawah the lekin unko haq se mahrom kar diya gaya .
 4. Kitab jameul akhbar ke muwallif ne baz rewayat ki bena par logon ki tadad 17000, likhi hai , jis me 5000 madine wale the aur 12000 hazar yaman ke rahne wale the .
5. Ibne jubar ya ibne jubair ne kitab nahjul iman me 60000, tadad likhi hai .
6. Marhoom tabarsi (r.a) ne IMAM BAQIR(a.s) se manqol rewayat ki bena par 70000 hazar ki tadad likhi hai
7. Ibne jubair ne baz tarikhon ki bena par 86000 afrad ki tadad bhi naql ki hai .
8. Abdul malik asimi shafayi ne 90hazar ya 114 hazar ki tadad likhi hai .
9. Ibne joozi ne 120000 hazar ki tadad bhi naql ki hai lekin is qaul ka makhaz koyi rewayat ya tarikh nahi hai .
Tadad jo bhi mani jaye lekin is haqiqat se inkar nahi kiya ja sakta ki jab Amirul momeneen(a.s) ka haq ghasab huwa to koyi gawahi ke liye khada nahi huwa , yahan tak ki janab Fatema Shaheed ho gayiN .
Welayat ko sirf zaban se manna kafi nahi hai balki wali ki nusrat ke liye qiyam zarori hai , agar ham apne zamane ke wali ki nusrat ke liye tayyar hote to aaj aanhazrat ke Zuhoor me takhir na hoti .
Parwardegar hame taufeeq de ki ham waise ho jayen jaise hamare IMAM chahte haiN .
Aameen
Iltemas e dua e Zuhoor
S. Haider Abbas Rizvi
Mumbai

Thursday, June 6, 2019

JUMA MUBARAK 7 June 2019

بِسْمِ اللّهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
As salam o alaikum w.r.w.b
Tamam momeneen o momenaat ko Eide Juma ki bahut bahut mubarakbad
Dua E Nudba
اذ کان هوا المنذر و لکل قوم هاد
Wo munzir the aur har qaum ke liye aik hadi zarori hai .
Quran majeed ne bar bar nabi e kareem ko is sifat ke sath yaad kiya hai , sure ahzab ki 45 ayet me elan hota hai : “ aye nabi ! hamne aap ko gawah aur basharat dene wala aur darane wala bana kar bheja hai .
Janab ibne abbas (r.a) se rewayat hai ki paighambar (s.w) ne farmaya : “ mai munzir hoN aur hadi bani hashim me se aik mard hai.”
Juwaini  ne farayedus simtain me ayate “ innama anta munzir” ke zail me naql kiya hai ki rasool khuda (s.w) ne farmaya : aye muhammat tum azabe khuda se darane wale ho aur ALI(a.s) hedayat karne wale haiN “
Tafsire burhan me imam Muhammad baqir (as) se rewayat hai ki “ Rasool khuda (s.w) munzir haiN aur Ali (a.s) hadi haiN , khuda ki qasam ye sifate hedayat hamare khandan se qayamat tak khatam na hogi .”
Yani qayamat tak ane wale hadi hamare hi khandan se honge .
Hamwaini ne aik rewayat naql kiya hai ki , aik yahodi ne nabi bahut se sawalat kiye us me se aik sawal ye tha ki har nabi ka wasi hota hai jaise Hazrat Musa (a.s) ke Wasi Yosha bin Noon (a.s)the , aap ka wasi kaun hai ?
Nabi (s.w) ne jawab diya : mere Wasi Ali(a.s) haiN unke bad Hasan(a.s) phir Husain(a.s) haiN aur unke bad Husain(a.s) ken au(9)bête wasi honge .
Yahodi ne unke naam daryaft kiye to nabi (s.w) ne tamam imamon ke naam bayan kiye .
Is elahi hedayat ka silsila aaj bhi pardae ghaib se jari hai .
Khudawande kareem hadiye ghayeb ko zahir kar ke ham par Ehsan farma .Aameen
Iltemas e dua E Zuhoor
S.Haider Abbas Rizvi
Mumbai

Tuesday, June 4, 2019

EID MUBARAK 1440 HIJRI

بِسْمِ اللّهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
🌹🌙As salam o alaikum w.r.w.b🌙🌹
Allah ka shukr ki khuda ne hame Mahe Mubarak Ramazan me Ebadat ki taufeeq ata ki aur dua hai ki khuda hamare ye na qabil awr qaleel aamal apni bargaah me qubool farmaye .
Eid E Fitr ki Aamad tamam momeneen o momenaat ko bahut bahut Mubarak ho , Khuda ham sab ko Eid e Saeed e Fitr Masoomeen ki taleemat ke mutabiq manane ki taufeeq ata farmaye .
💐🌹…Allahumma swalle ala muhammadin w aale Muhammad w ajjil farajahum …💐🌹
قال امیرالمومنین علیہ السلام : ألا و إنَّ هذا اليَومَ يَومٌ جَعَلَهُ اللَّهُ لَكُم عِيداً و جَعَلَكُم لَهُ أهلاً ، فَاذكُرُوا اللَّهَ يَذكُركُم وَ ادْعُوهُ يَستَجِب لَكُم
من لا یحضرہ الفقیہ ، ج۱، ص۵۱۷
امیرالمومنین علیہ السلام نے فرمایا: آگاہ ہو جائو کہ یہ وہ دن ہے جس کو خدا نے تمہارے واسطے عید قرار دیا ہے اور تمہیں اس عید کے قابل بنایا ہے ، اس لئے اللہ کو یاد کرو ، خدا بھی تمہیں یاد رکھے گا ، اس سے دعا مانگو وہ تمہاری دعا قبول کرے گا ۔
من لا یحضرہ الفقیہ ، ج۱، ص۵۱۷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
AMEERUL MOMENEEN (a.s) ne farmaya : Aagah ho jao ki ye wo din hai jis ko khuda ne tumhare waste Eid qarar diya hai aur tumhe is eid ke qabil banaya hai, isliye ALLAH ko yad karo Khuda bhi tumko yaad rakhe ga , us se dua mango wo tumhari dua qubool kare ga .
Man la yahzurohul faqeeh, jild 1, page 517
अमीरुल मोमेनीन(अ स)ने फ़रमाया : आगाह हो जाओ कि यह वह दिन है जिस को खुदा ने तुम्हारे वास्ते ईद क़रार दिया है और तुम्हे इस ईद के क़ाबिल बनाया है, इसलिए अल्लाह को याद करो खुदा भी तुमको याद रखेगा , उस से दुआ मांगो वह तुम्हारी दुआ क़ुबूल करेगा
मन ला यहज़ुरूहुल फ़क़ीह , जिल्द १, पेज ५१७
🌹iltemase dua🌹
SYED HAIDER ABBAS RIZVI
MUMBAI

Wednesday, May 29, 2019

dil ka roza


بِسْمِ اللّهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ 
As salam o alaikum w.r.w.b

قال امیرالمومنین علیہ السلام : صيامُ القَلبِ عنِ الفِكرِ في الآثامِ، أفضَلُ مِن صيامِ البَطنِ عنِ الطَّعامِ
غرر الحکم ، حدیث ۵۸۷۳
امیرالمومنین علیہ السلام نے فرمایا: دل کو گناہ کے بارے میں سوچنے سے محفوظ رکھنا پیٹ کو کھانے سے بچانے سے بہتر ہے ۔
غرر الحکم ، حدیث ۵۸۷۳

AMEERUL MOMENEEN (a.s) ne farmaya : Dil ko gunah ke bare me sochne se mahfoz rakhna pet ko khane se bachane se behtar hai .
Ghurarul Hekam , hadis 5873
अमीरुल मोमेनीन(अ स)ने फ़रमाया :  दिल को गुनाह के बारे में सोचने से महफूज़ रखना पेट को खाने से बचाने से बेहतर है
गुररूल हेकम , हदीस ५८७३
iltemase dua

Thursday, May 23, 2019

khamoshi aur afiyat


بِسْمِ اللّهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ 
As salam o alaikum w.r.w.b
قال امیرالمومنین علیہ السلام : العافِيَةُ عَشَرَةُ أجزاءٍ ؛ تِسعَةٌ مِنها فِي الصَّمتِ إلّا بِذِكرِ اللّهِ، وَواحِدٌ في تَركِ مُجالَسَةِ السُّفَهاءِ
بحارالانوار، ج۷۸، ص ۸۹، ح ۹۳
عافیت کے دس حصہ ہیں ان میں سے نو حصہ ۔ذکر خدا کے علاوہ ۔ خاموشی میں رکھے گئے ہیں ۔ اور ایک حصہ بے شعور لوگوں کی کی ہمنشینی کے ترک کرنے میں ہے ۔
بحارالانوار، ج۷۸، ص ۸۹، ح ۹۳
AMEERUL MOMENEEN (a.s) ne farmaya : Aafiyat ke das hisse haiN un me se nau hisse ( Zikre khuda ke alawah) Khamoshi me rakhe gye haiN , aur aik hissa be shuoor logon ki hamnashini ke tark karne me hai.
Beharul anwar, jild 78 , page 89, hadis 93
अमीरुल मोमेनीन(अ स)ने फ़रमाया : आफ़ियत के दस हिस्से हैं उन में से नौ हिस्से ( ज़िक्रे खुदा के अलावह) ख़ामोशी में रखे गए हैं , और एक  हिस्सा बेशुऊर लोगों की हमनशीनी के तर्क करने में है.
बेहारूल अनवार, जिल्द ७८,पेज ८९ हदीस ९३
iltemase dua

Monday, May 20, 2019

Weladat e IMAM HASAN MUJTABA(a.s) 15 Ramazanul Mubarak


AS SALAM O ALAIKUM w.r.w.b
Weladat e IMAM HASAN MUJTABA(a.s) tamam momeneen o momenaat ko Mubarak ho .
Khudawande kareem hame IMAM ki marefat karamat farmaye aur hame unke sath mahshor farmaye .
Short biography of Imam Hasan(a.s)
Name: HASAN(A.S)
Walid: ALI bin ABI TALIB(A.S)
Waleda : FATEMA ZAHRA(S.A)
Alqab: Mujtaba , Sayyed , Taqi , Zaki , Sibt, Tayyab
Kuniyat : abu Muhammad
Weladat : 15,Ramzanulmubarak 3 hijri
Jaye weladat : madina munawwara
Shahadat : 28Safar 50 hijri
Qabr: qabrastan baqi ( Madina munawwara)
Azwaj : umme basher , khaula , umme ishaq ,hafsa , hind , joda ,
Awlad : 9 bete 7 betiyaN (bina be naqle marhom tabarsi)
Qatil: mawiya ne joda binte ashas se zahar dilwaya.
Kul umr: 47 sal
Muddate imamat: 10 sal
Imam Hasan (a.s) ne farmaya : duniya ke liye is tarah kam karo jaise
tumko hamesha isi me rahna hai , aur akherat ke liye istarah amal karo
jaise tumko kal mar jana hai .
(alhayat, jild 4 page 62)
Imam Hasan (a.s) ne farmaya : kisi qaum ne mashwerat nahi kiya magar
ye ki usne taraqqi aur kamal hasil kiya .
(tohaful uqool ,page 236)
ILTEMASE DUA

IMAM HASAN MUJTABA KA AKHLAQ

بِسْمِ اللّهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
As salam o alaikum w.r.w.b
قال الإمامُ الحسنُ عليه السلامصاحِبِ النّاسَ مِثلَ ما تُحِبُ أن يُصاحِبوكَ بِهِ
اعلام الدین ، ص ۲۹۷
لوگوں کے ساتھ اسی طرح پیش آئو، جس طرح تم چاہتے ہو کہ تمہارے ساتھ لوگ پیش آئیں ۔
اعلام الدین ، ص ۲۹۷
IMAM HASAN MUJTABA (a.s) ne farmaya: logon ke sath usi tarah pesh awo jis tarah tum chahte ho ki log tumhare sath pesh ayen
elaamud deen , page 297
इमाम हसन मुज्तबा (अ स) ने फ़रमाया: लोगों के साथ उसी तरह पेश आओ जिस तरह तुम चाहते हो कि लोग तुम्हारे साथ पेश आएं 
एलामुद दीन , पेज २९७
iltemase dua

Saturday, May 18, 2019

masjid me ane jane ki fazilat

بِسْمِ اللّهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
As salam o alaikum w.r.w.b
قال الإمامُ الحسنُ عليه السلام : اَهْـلُ الْمَسْـجِدِ زُوّارُ اللّه ِ وَ حَقٌّ عَلَى الْمَزُورِ أَلتُّحْفَةُ لِزائِرهِ. . الارشاد ص۷۲
امام حسن علیہ السلام نے فرمایا: مسجد میں آنے والے لوگ اللہ کے زائر ہیں ، اور مزور( اللہ تعالی ) پر لازم ہے کہ وہ زائر کو کوئی تحفہ دے ۔
الارشاد ص۷۲
IMAM HASAN MUJTABA (a.s) ne farmaya:Masjid me ane wale log allah ke zayer hain aur mazur (allah ta,ala ) par lazim hai ki wo zayer ko koyi tohfa de .
Al irshad , page 72
इमाम हसन मुज्तबा (अ स) ने फ़रमाया:मस्जिद में आने वाले लोग अल्लाह के ज़ायर हैं और मज़ूर (अल्लाह) पर लाज़िम है कि वह ज़ायर को कोई तोहफा दे
अल इरशाद , पेज ७२
iltemase dua

Friday, May 17, 2019

sabr aur shukr

بِسْمِ اللّهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
As salam o alaikum w.r.w.b
قال الإمامُ الحسنُ عليه السلام : الخَيرُ الّذي لا شَرَّ فيهِ: الشُّكرُمَع النِّعمَةِ ، والصَّبرُ على النّازِلَةِ  
تحف العقول ، ص ۲۳۴
امام حسن علیہ السلام نے فرمایا: وہ نیکیاں جس میں کسی طرح کا کوئی شر نہیں ہے وہ دو ہیں ۔ ۱۔ نعمت کا شکریہ ۲۔ مصیبت پر صبر
تحف العقول ، ص ۲۳۴
IMAM HASAN MUJTABA (a.s) ne farmaya: wo nekiyaN jin me kisi tarah ka koyi shar nahi hai wo do haiN : 1. Nemat ka shukria 2. Musibat par sabr
Tohaful uqool , page 234
इमाम हसन मुज्तबा (अ स) ने फ़रमाया:वह नेकियां  जिनमें किसी तरह का कोई शर नहीं है वह दो हैं : १ नेमत का शुक्रिया  २ मुसीबत पर सब्र
तोहफुल उक़ूल , पेज २३४
iltemase dua

Thursday, May 16, 2019

JUMA MUBARAK 17may 2019


As Salam o Alaikum w.r.w.b
Mahe Mubarak Ramazan ka dosra Juma tamam Rozedar momeneen o momenaat ko Mubarak ho.
Duae nudba
فکانوا هم السبیل الیک و المسلک الی رضوانک
Sirf Ahlebait (a.s) hi teri taraf jane wala sidha rasta haiN , aur teri khushnudi hasil karna ka zariya haiN .
Allama Majlisi (r.a) ne beharul anwar ki 23win jild me aik bab ka unwan ye rakha hai ki “ log Ahlebait ki pairwi kiye baghair hedayat nahi pa sakte “ us bab me is unwan se mutalliq kul 11 ahadis zikr ki haiN, jisme 10wiN hadis IMAM Muhammad Baqir(a.s) se ye hai ki aap ne farmaya: “ jo Allah tak Hamare Zariye pahuchna chahta hai wo Kamyab hai aur jo dosroN ke waste se pahuchna chahta hai wo halak hai . (beharul anwar jild 23, page 102)
Ziayarate ashura me bhi ham padhte haiN : “Ham khuda ki qurbat chahte haiN aap ki muhabbat aur pairwi ke zariye aur aap ke dushmanoN se bezari ke zariye “
Khudaya Mahe Ramazan ke Mubarak Ayyam ke sadqe me hame us IMAM se mila de jo khudawande Alam tak pahuchne ka behtareen Zaria hai . Aameen
Iltemase Dua

quran ki telawat ka asar

بِسْمِ اللّهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
As salam o alaikum w.r.w.b
الإمامُ الحسنُ عليه السلاممَن قَرَأ القرآنَ كانَت لَهُ دعوةٌ مُجابةٌ إمّا مُعَجَّلَةً و إمّا مُؤَجَّلةً
بحارالانوار، ج۹۳، ص ۳۱۳
جو قرآن پڑھتا ہے اللہ جلدی یا دیر میں اس کی دعا قبول کرتا ہے ۔
بحارالانوار، ج۹۳، ص ۳۱۳
IMAM HASAN MUJTABA (a.s) ne farmaya: jo Quran padhta hai Allah jaldi ya der me us ki dua qubool karta hai.
Beharul anwar, jild 93, page 313
इमाम हसन मुज्तबा (a.s) ने फ़रमाया: जो क़ुरान पढता है अल्लाह जल्दी या देर में उस की दुआ क़ुबूल करता है
बेहारूल अनवार, जिल्द ९३,पेज ३१३
Iltemase dua 

Tuesday, May 14, 2019

mahe ramazan aur maghferat

بِسْمِ اللّهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
As salam o alaikum w.r.w.b
 قال رسولُ اللّهِ صلى الله علیه و آله: مَن أدرَکَ شَهرَ رَمَضانَ فَلَم یُغفَر لَهُ فَأبعَدَهُ الله
بحارالانوار، ج۹۱ ، ص ۴۷
رسول خدا صلی اللہ علیہ و آلہ نے ارشاد فرمایا : خدا اسے اپنی رحمت سے دور کر دے جو ماہ رمضان کو درک کرے اور اپنی مغفرت نہ کرا سکے ۔
بحارالانوار، ج۹۱ ، ص ۴۷
Rasool khuda (s.w) ne farmaya: Khuda use apni Rahmat se door kar de jo mahe ramazan ko dark kare aur apni maghferat na kara sake .
Beharul anwar, jild 91, page 47
रसूल खुदा (स अ व व)ने फ़रमाया: खुदा उसे अपनी रहमत से दूर कर दे जो माहे रमज़ान को दरक करे और अपनी मग़फ़ेरत न करा सके
बेहारूल अनवार, जिल्द ९१,पेज ४७
iltemase dua

Monday, May 13, 2019

mahe Ramazan ko Ramazan kiyoN kahte haiN

بِسْمِ اللّهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
As salam o alaikum w.r.w.b
قال رسولُ اللّهِ صلى الله علیه و آله : إنَّما سُمِّیَ الرَّمَضانُ لأنَّهُ یَرمَضُ الذُّنوبَ
میزان الحكمه، روايت ۷۴۴۱
رسول خدا صلی اللہ علیہ و آلہ نے ارشاد فرمایا : اس مہینہ کو رمضان اس لئے کہا گیا کیوں کہ یہ گناہوں کو جلا دیتا ہے ۔ میزان الحکمہ ، روایت ۷۴۴۱
Rasool khuda (s.w) ne farmaya: Is mahine ko Ramazan is liye kaha gaya kiyon ki ye gunahoN ko jala deta hai .
Mizanul hikmat, hadis 7441
रसूल खुदा (स।व)ने फ़रमाया: इस महीने को रमज़ान इस लिए कहा गया कियों कि ये गुनाहों को जला देता है 
मिज़ानुल हिकमत, हदीस ७४४१
iltemase dua

Sunday, May 12, 2019

mahe Ramazan me Quran ki telawat ka sawab


بِسْمِ اللّهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
As salam o alaikum w.r.w.b
قال الامام الرضا علیہ السلام : من قرا فى شهر رمضان اية من كتاب الله كان كمن ختم القران فى غيره من الشهور
بحارالانوار،ج۹۳ ، ص۳۴۶
امام رضا علیہ السلام نے فرمایا: جو بھی ماہ رمضان میں قرآن کی ایک آیت کی تلاوت کرے گا اس کو دوسرے مہینوں میں پورا قرآن ختم کرنے کے برابر ثواب عطا کیا جائے گا ۔
بحارالانوار،ج۹۳ ، ص۳۴۶
IMAM RAZA (a.s) ne farmaya: jo bhi mahe ramazan me quran ki aik aayat ki telawat karega usko dosre mahine me aik quran khatam karne ke barabar sawab mile ga
Beharul anwaar, jild 93 , page 346
इमाम रज़ा (अ स) ने फ़रमाया: जो भी माहे रमज़ान में क़ुरान की एक आयत की तिलावत करेगा उसको दूसरे महीने में एक क़ुरान ख़तम करने के बराबर सवाब मिलेगा ।
बेहारूल अनवार, जिल्द ९३,पेज ३४६
Iltemase dua

Saturday, May 11, 2019

fazilate mahe ramazan

بِسْمِ اللّهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
As salam o alaikum w.r.w.b
قال رسولُ اللّهِ صلى الله علیه و آله : لو يعلم العبد ما فى رمضان لود ان يكون رمضان السنة؛
بحارالانوار، ج۹۳، ص ۳۴۶
رسول خدا صلی اللہ علیہ و آلہ نے ارشاد فرمایا : اگر انسان کو ماہ رمضان کی فضیلت کا علم ہو جائے تو وہ چاہے گا کہ سال بھر ماہ رمضان ہی رہے ۔
بحارالانوار، ج۹۳، ص ۳۴۶
Rasool khuda (s.w) ne farmaya:Agar insan ko mahe ramazan ki fazilat ka elm ho jaye to wo chahe ga ki saal bhar ramazan rahe.
रसूल खुदा (स।व)ने फ़रमाया:अगर इन्सान को माहे रमज़ान की फ़ज़ीलत का इल्म हो जाये तो वह चाहेगा कि साल भर रमज़ान रहे
बेहारूल अनवार, जिल्द ९३,पेज ३४६
iltemase dua

Friday, May 10, 2019

iftari dene ka sawab

بِسْمِ اللّهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
As salam o alaikum w.r.w.b
قال الامام الکاظم عليه السلام قال: فطرك أخاك الصائم أفضل من صيامك
بحارالانوار،ج۹۳، ص ۳۱۷، حدیث ۵
امام موسی کاظم علیہ السلام نے فرمایا : اپنے مومن بھائی کو افطاری کرانا روزہ سے افضل ہے ۔
بحارالانوار،ج۹۳، ص ۳۱۷، حدیث ۵
IMAM MUSA KAZIM (a.s) ne farmaya:apne Momin bhai ko iftari karana roze se afzal hai .
Beharul anwar, jild 93, page 317, hadis 5
इमाम मूसा काज़िम(अ स)ने  फ़रमाया : अपने मोमिन भाई को इफ्तारी करना रोज़े से अफ़ज़ल है
बेहारूल अनवार, जिल्द ९३,पेज ३१७  हदीस ५
Iltemase dua

Thursday, May 9, 2019

JUMA MUBARAK 10may2019 with Sharhe Dua E Nudba

بسم الله الرحمن الرحیم
As salam o alaikum w.r.w.b
Mahe mubarak Ramazan aur Ashrae Rahmat ka pahla juma tamam momeneen o momenaat ko bahut bahut Mubarak ho
Dua e Nudba
ثم جعلت اجر محمد صلواتک علیه و اله مودتهم فی کتابک فقلت: قل لا اسالکم علیه اجراً الا المودة فی القربی
Phir tou ne Hazrat Muhammad Mustafa (s.w) ka ajre resalat unki muwaddat ko qarar dete huwe quran me elan farmaya : “ aye Nabi ! aap kah dijiye ki mai apni resalat ka koyi ajar nahi mangta sewaye hamare aqraba ki muwaddat ke “ (sure shoora , ayet 23 )
Swal ye hai ki jab kisi nabi ne koyi ajar nahi manga aur khuda paighambar (s.w) ka ye qaul sure saad ayet 86 me naql kiya gaya ki mai koyi ajar nahi mangta aur kisi par koyi bojh nahi Dalne wala hoN to phir yahaN ajar ka mutaleba kiyoN kiya jar aha hai .
Is ka jawab ye hai ki agar che yahaN par AJAR ka lafz aya hai lekin Haqiqat me ajar wo hota hai jo dene wale ke mal se nikal kar lene wale ke hisab me chala jata hai aur uska fayeda lene wala uthata hai , lekin yahaN par Nabi (s.w) ke aqraba se muwaddat karne ka fayeda Nabi ko nahi hone wala hai balki jo muwaddat aur muhabbat karega usko ye fayeda hoga ki wo ahlebait(a.s) ki ita,at karte huwe nejat pa jayega . jiska elan quran ne bhi kiya , “ aye nabi aap kah dijiye ki jo ajar ham ne tum se manga hai wo tumhare hi fayede ke liye hai “(sure saba, ayet 47)
Aqraba se murad Ahlebait (a.s) haiN , is silsile me allama Hashim bahrani (r.a) ne apni kitab kifayatul khesam me ahlesunnat se 17 rewayat naql ki haiN jiski 4th rewayat ye hai :  salabi ne Ibne abbas se rewayat ki hai ki jab ayate muwaddat nazil huw to logon ne pocha : ya rasulullah aap ke aqraba jin ki muwaddat ka hukm diya gya hai kaun haiN ? farmaya : Ali , Fatema , Hasan o Husain (a.s) …..
Hazrat Ali (a.s) aur ahlebait (a.s) ki itaat ke hawale se beshumar rewayaat haiN , Allama bahrani ne 21 rewayaat ahlesunnat se naql ki haiN . aik rewayat ye hai ki juwaini ne ibne abbas se naql kiya hai ki nabi ne farmaya: jo ham jaisi zindagi jina chahta hai aur hamare jaisi maut chahta hai aur jannat me hamare sath rahna chahta hai usko chahiye ki Ali , aur Aulade Ali (a.s) ki pairwi kare aur hamare bad hamari itrat se jo imam haiN unki pairwi kare ….
Is bare me be shumar rewayat haiN jinko ulma ne apni kitab me zikr kiya hai .
Khuda wande Alam ham sab ko Ahlebait (a.s) ki itaat ki taufeeq de aur IMAM E HAZIR(a.s) ke Zuhoor ke waqt unke Nasir o Madadgaron me shumar kare .
Iltemase Dua E Zuhoor 

mahe ramazan me sadqa dena


بِسْمِ اللّهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
As salam o alaikum w.r.w.b
قال الامام الصادق علیہ السلام : من تصدق في شهر رمضان بصدقة صرف الله عنه سبعين نوعا من البلاء
بحارالانوار، ج ۹۳، ص ۳۱۶ حدیث ۲
امام صادق علیہ السلام نے فرمایا : جو بھی ماہ رمضان میں صدقہ دے گا خدا اس سے ستر قسم کی بلاوں کو دور رکھے گا ۔
بحارالانوار، ج ۹۳، ص ۳۱۶ حدیث ۲
IMAM SADIQ(a.s) ne farmaya : jo bhi mahe ramazan me Sadqa de ga khuda us se sattar qism ki bala ko door rakhe ga .
Beharul anwar, jild 93, page 316, hadis 2
इमाम सादिक़(अ स)ने  फ़रमाया : जो भी माहे रमज़ान में सदक़ा देगा खुदा उससे सत्तर क़िस्म की बला को दूर रखे गा 
बेहारूल अनवार, जिल्द ९३,पेज ३१६ हदीस २
Iltemase dua

Wednesday, May 8, 2019

iftari dene ka sawab


بِسْمِ اللّهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
As salam o alaikum w.r.w.b

قال الامام الصادق علیہ السلام : أيما مؤمن أطعم مؤمنا ليلة من شهر رمضان كتب الله له بذلك مثل أجر من أعتق ثلاثين نسمة مؤمنة وكان له بذلك عند الله عزوجل دعوة مستجابة
بحارالانوار، ج ۹۳، ص ۳۱۶ حدیث ۱
امام صادق علیہ السلام نے فرمایا :جو مومن اپنے مومن بھائی کو ماہ رمضان کی رات میں کھانا کھلائے گا اللہ اس کو تیس مومن غلام آزاد کرنے کا ثواب عطا کرے گا اور اس کی بنا پر خداوند عزیز و جلیل اس کی دعائوں کو قبول کرے گا ۔
بحارالانوار، ج ۹۳، ص ۳۱۶ حدیث ۱

Jo momin apne momin bhai ko mahe ramazan ki rat meN khana khilayega allah usko tees momin ghulam aazad karne ka sawab ata kare ga aur uski bena par Khudawande azeez o jaleel uski duaon ko qubool karega .
Beharul anwar, jild 93, page 316, hadis 1
इमाम सादिक़(अ स)ने  फ़रमाया :जो मोमिन अपने मोमिन भाई को माहे रमज़ान की रात में खाना खिलायेगा अल्लाह उसको तीस मोमिन ग़ुलाम आज़ाद करने का सवाब अता करेगा और उसकी बेना पर ख़ुदावन्दे अज़ीज़ व जलील उसकी दुआओं को क़ुबूल करेगा
बेहारूल अनवार, जिल्द ९३,पेज ३१६ हदीस १
Iltemase dua

Tuesday, May 7, 2019

roza na rakhne se IMAN khatam ho jata hai


بِسْمِ اللّهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
As salam o alaikum w.r.w.b

قال الامام الصادق علیہ السلام :  من افطر يوما من شهر رمضان خرج روح الايمان منه؛
وسائل الشیعہ ، ج۷، ص۱۸۱، ح ۴،۵
امام صادق علیہ السلام نے فرمایا : جو بھی (بغیر عذر کے) ایک روزہ بھی چھوڑتا ہے ، ایمان کی روح اس سے جدا ہو جاتی ہے ۔
وسائل الشیعہ ، ج۷، ص۱۸۱، ح ۴،۵
IMAM SADIQ(a.s) ne farmaya : Jo bhi (baghair uzr ke) aik roza bhi chorta hai , Imaan ki Rooh us se juda ho jati hai .
Wasayelus shia , jild7, page 181, hadis 4,5
इमाम सादिक़(अ स)ने  फ़रमाया : जो भी (बग़ैर उज़्र के) एक रोज़ा भी छोड़ता है , ईमान की रूह उस से जुदा हो जाती है
वसायेलुस शिया ,जिल्द ७,पेज१८१ हदीस ४,

Monday, May 6, 2019

barkat , Rahmat aur maghferat ka mahina

بِسْمِ اللّهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
As salam o alaikum w.r.w.b
Mahe Mubarak Ramzan ki aamad tamam momeneen o momenaat ko Mubarak ho , khuda wande kareem is mahine me behtareen aamal ki taufeeq ata farmaye . aameen

قال رسولُ اللّهِ صلى الله علیه و آله : هو شهر اوله رحمة و اوسطه مغفرة و اخره عتق من النار
بحارالانوار، ج۹۳، ص ۳۴۲
رسول خدا صلی اللہ علیہ و آلہ نے ارشاد فرمایا : ماہ رمضان وہ مہینہ ہے جس کی ابتدا رحمت ہے ، درمیان مغفرت ہے اور آخری حصہ جہنم کی آگ سے آزادی کا ذریعہ ہے ۔
بحارالانوار، ج۹۳، ص ۳۴۲
Rasool khuda (s.w) ne farmaya:Mahe Ramazan wo mahina hai jis ki ibteda Rahmat hai, darmiyan maghferat hai aur akheri hissa jahannam ki aag se azadi ka zariya hai .
Beharul anwar, jild 93, page 342
रसूल खुदा (स।व)ने फ़रमाया: माहे रमज़ान वह महीना है जिसकी इब्तेदा रहमत है, दरमियान मग़फ़ेरत है और आखिरी हिस्सा जहन्नम की आग से आज़ादी का जरिया है .
बेहारूल अनवार, जिल्द ९३,पेज ३४२
iltemase dua

Sunday, May 5, 2019

Barkat ka mahina


بِسْمِ اللّهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
As salam o alaikum w.r.w.b
Mahe Mubarak ke chand ki 29 shaban ko tasdiq nahi huwi hai , isliye INSHALLAH 7. May 2019 Tuesday ko mahe ramazan ki pahli tarikh hogi .

قال رسولُ اللّهِ صلى الله علیه و آله : شَهرُ رَمَضانَ شَهرُ اللّه عَزَّوَجَلَّ وَ هُوَ شَهرٌ يُضاعِفُ اللّه‏ُ فيهِ الحَسَناتِ وَ يَمحو فيهِ السَّيِّئاتِ وَ هُوَ شَهرُ البَرَكَةِ
بحارالانوار، ج۹۳، ص ۳۴۰
رسول خدا صلی اللہ علیہ و آلہ نے ارشاد فرمایا :رمضان کا مہینہ خداوند عزیز و جلیل کا مہینہ ہے ، یہ وہ مہینہ ہے جس میں خدا نیکیوں کا اجر کئی گنا عطا کرتا ہے ، برائیوں کو نامہ عمل سے مٹا دیتا ہے ، اور یہ برکت والا مہینہ ہے ۔  
بحارالانوار، ج۹۳، ص ۳۴۰
Rasool khuda (s.w) ne farmaya: Ramazan ka Mahina Khudawande aziz o jaleel ka mahina hai , ye wo mahina hai jis me Khuda nekiyoN ka ajar kayi guna ata karta hai , burayioN ko namae amal se mita deta hai , aur ye barkat ka mahina hai .
Beharul anwar, jild 93, page 340
रसूल खुदा (स।व)ने फ़रमाया: रमजान का महीना ख़ुदावन्दे अज़ीज़ व जलील का महीना है ,यह वह महीना है जिसमें खुदा नेकियों का अजर कई गुना अता करता है , बुराइयों को नामए अमल से मिटा देता है ,और ये बरकत का महीना है
बेहारूल अनवार, जिल्द ९३,पेज ३४०
iltemase dua