Monday, June 17, 2019

hasad aur jalan


بسم الله الرحمن الرحیم
Salamun alaikum w.r.w.b
قال الامام الصادق عليه السلام : ایـاکـم ان یحسـد بعضکـم بعضـا فـان الکفـر اصله الحسـد.
تحف العقول ، ص ۳۱۵
امام صادق علیہ السلام نے فرمایا: ایک دوسرے سے حسد کرنے سے پرہیز کرو اس لئے کہ کفر کی اصل وجہ یہی حسد ہے ۔
تحف العقول ، ص ۳۱۵
IMAM SADIQ (a.s) ne farmaya: Aik dosre se hasad karne se parhez karo is liye ki kufr ki asal wajah yahi hasad hai .
Tohaful uqool , page 315
इमाम सादिक़ (अ स ) ने फ़रमाया : एक दूसरे से हसद करने से परहेज़ करो इस लिए कि कुफ्र की असल वजह यही हसद है
तोहफुल उक़ूल , पेज ३१५
Iltemase dua

Thursday, June 13, 2019

roze juma 14june


As salam o alaikum w.r.w.b
Roze juma Mubarak baad
Mahe shawwal ki 8 tarikh ko Saud ki aulad ne qabrastan e baqi me maujood ayimma aur ashabe paighambar(s.w) ki qabroN ko mismar  kar dala .
Aale Muhammad(a.s) ke dushmanoN ka na ye koyi pahla karnaama tha aur na hi akheri hai , balki khuda ki taraf se di huwi muhlat ko apne gunahon par pashemani  ke bajaye zulm o jenayat ke zariye barbad kar rahe haiN aur anqareeb ane wala ayega aur unke zulm ka khatma kar ke inko inke kaifare kirdar tak pahuncha dega .
Beshak ye log us din ko door samajh rahe haiN lekin hame wo din bahut nazdik nazar aa raha hai .
Khuda jald az jald hamare IMAM ko Zahir farmaye aur ham apni ankhon se in zalimon ka anjam dekheN . aameeen
Dua E Nudba
فقال و الملا امامه من کنت مولاه فعلی مولاه
“ Nabi(s.w) ne aik bhare majme ke samne farmaya ki mai jis ka maula hon Ali(a.s) bhi uske maula hain “
Ghadeer khum me jis waqt Nabi e kareem (s.w) Maula ALI(a.s) ki welayat ka elan farmaya us wqt wahan par kitne log musalman maujod the .
Rewayat me 1300 se lekar 120000 tak ki tadad likhi gayi hai .
 1. allama ibne shaher ashob ne IMAM BAQIR (a.s) se rewayat ki hai ki ghadeer me maujod logon ki tadad 1300 thi . tafsir furat kufi me bhi yahi tadad naql ki gyi hai .
2. tafsir ayashi me, sure mayeda ki 67ayet ke zail me IMAM SADIQ(a.s) se rewayat hai ki ghadeer me logon ki tadad 10000, thi , 5000 log madine se nabi ke sath gye the aur 5000 ki tadad haj se wapas hone wale musalmano ki thi jo nabi ke sath sath us maqam tak aye the .
3. Ayashi ne sure mayeda ki 55 ayet ki tafsir me Safwan e jammal ke waste se IMAM SADIQ(a.s) se naql kiya hai ki ghadeer me logon ki tadad 12000 thi .
Sath hi is bat par tajjub ka izhar kiya hai ki insan ke pass do gawah hon to apna haq hasil kar leta hai lekin Ali(a.s) ke pass 12000 gawah the lekin unko haq se mahrom kar diya gaya .
 4. Kitab jameul akhbar ke muwallif ne baz rewayat ki bena par logon ki tadad 17000, likhi hai , jis me 5000 madine wale the aur 12000 hazar yaman ke rahne wale the .
5. Ibne jubar ya ibne jubair ne kitab nahjul iman me 60000, tadad likhi hai .
6. Marhoom tabarsi (r.a) ne IMAM BAQIR(a.s) se manqol rewayat ki bena par 70000 hazar ki tadad likhi hai
7. Ibne jubair ne baz tarikhon ki bena par 86000 afrad ki tadad bhi naql ki hai .
8. Abdul malik asimi shafayi ne 90hazar ya 114 hazar ki tadad likhi hai .
9. Ibne joozi ne 120000 hazar ki tadad bhi naql ki hai lekin is qaul ka makhaz koyi rewayat ya tarikh nahi hai .
Tadad jo bhi mani jaye lekin is haqiqat se inkar nahi kiya ja sakta ki jab Amirul momeneen(a.s) ka haq ghasab huwa to koyi gawahi ke liye khada nahi huwa , yahan tak ki janab Fatema Shaheed ho gayiN .
Welayat ko sirf zaban se manna kafi nahi hai balki wali ki nusrat ke liye qiyam zarori hai , agar ham apne zamane ke wali ki nusrat ke liye tayyar hote to aaj aanhazrat ke Zuhoor me takhir na hoti .
Parwardegar hame taufeeq de ki ham waise ho jayen jaise hamare IMAM chahte haiN .
Aameen
Iltemas e dua e Zuhoor
S. Haider Abbas Rizvi
Mumbai

Thursday, June 6, 2019

JUMA MUBARAK 7 June 2019

بِسْمِ اللّهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
As salam o alaikum w.r.w.b
Tamam momeneen o momenaat ko Eide Juma ki bahut bahut mubarakbad
Dua E Nudba
اذ کان هوا المنذر و لکل قوم هاد
Wo munzir the aur har qaum ke liye aik hadi zarori hai .
Quran majeed ne bar bar nabi e kareem ko is sifat ke sath yaad kiya hai , sure ahzab ki 45 ayet me elan hota hai : “ aye nabi ! hamne aap ko gawah aur basharat dene wala aur darane wala bana kar bheja hai .
Janab ibne abbas (r.a) se rewayat hai ki paighambar (s.w) ne farmaya : “ mai munzir hoN aur hadi bani hashim me se aik mard hai.”
Juwaini  ne farayedus simtain me ayate “ innama anta munzir” ke zail me naql kiya hai ki rasool khuda (s.w) ne farmaya : aye muhammat tum azabe khuda se darane wale ho aur ALI(a.s) hedayat karne wale haiN “
Tafsire burhan me imam Muhammad baqir (as) se rewayat hai ki “ Rasool khuda (s.w) munzir haiN aur Ali (a.s) hadi haiN , khuda ki qasam ye sifate hedayat hamare khandan se qayamat tak khatam na hogi .”
Yani qayamat tak ane wale hadi hamare hi khandan se honge .
Hamwaini ne aik rewayat naql kiya hai ki , aik yahodi ne nabi bahut se sawalat kiye us me se aik sawal ye tha ki har nabi ka wasi hota hai jaise Hazrat Musa (a.s) ke Wasi Yosha bin Noon (a.s)the , aap ka wasi kaun hai ?
Nabi (s.w) ne jawab diya : mere Wasi Ali(a.s) haiN unke bad Hasan(a.s) phir Husain(a.s) haiN aur unke bad Husain(a.s) ken au(9)bête wasi honge .
Yahodi ne unke naam daryaft kiye to nabi (s.w) ne tamam imamon ke naam bayan kiye .
Is elahi hedayat ka silsila aaj bhi pardae ghaib se jari hai .
Khudawande kareem hadiye ghayeb ko zahir kar ke ham par Ehsan farma .Aameen
Iltemas e dua E Zuhoor
S.Haider Abbas Rizvi
Mumbai

Tuesday, June 4, 2019

EID MUBARAK 1440 HIJRI

بِسْمِ اللّهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
🌹🌙As salam o alaikum w.r.w.b🌙🌹
Allah ka shukr ki khuda ne hame Mahe Mubarak Ramazan me Ebadat ki taufeeq ata ki aur dua hai ki khuda hamare ye na qabil awr qaleel aamal apni bargaah me qubool farmaye .
Eid E Fitr ki Aamad tamam momeneen o momenaat ko bahut bahut Mubarak ho , Khuda ham sab ko Eid e Saeed e Fitr Masoomeen ki taleemat ke mutabiq manane ki taufeeq ata farmaye .
💐🌹…Allahumma swalle ala muhammadin w aale Muhammad w ajjil farajahum …💐🌹
قال امیرالمومنین علیہ السلام : ألا و إنَّ هذا اليَومَ يَومٌ جَعَلَهُ اللَّهُ لَكُم عِيداً و جَعَلَكُم لَهُ أهلاً ، فَاذكُرُوا اللَّهَ يَذكُركُم وَ ادْعُوهُ يَستَجِب لَكُم
من لا یحضرہ الفقیہ ، ج۱، ص۵۱۷
امیرالمومنین علیہ السلام نے فرمایا: آگاہ ہو جائو کہ یہ وہ دن ہے جس کو خدا نے تمہارے واسطے عید قرار دیا ہے اور تمہیں اس عید کے قابل بنایا ہے ، اس لئے اللہ کو یاد کرو ، خدا بھی تمہیں یاد رکھے گا ، اس سے دعا مانگو وہ تمہاری دعا قبول کرے گا ۔
من لا یحضرہ الفقیہ ، ج۱، ص۵۱۷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
AMEERUL MOMENEEN (a.s) ne farmaya : Aagah ho jao ki ye wo din hai jis ko khuda ne tumhare waste Eid qarar diya hai aur tumhe is eid ke qabil banaya hai, isliye ALLAH ko yad karo Khuda bhi tumko yaad rakhe ga , us se dua mango wo tumhari dua qubool kare ga .
Man la yahzurohul faqeeh, jild 1, page 517
अमीरुल मोमेनीन(अ स)ने फ़रमाया : आगाह हो जाओ कि यह वह दिन है जिस को खुदा ने तुम्हारे वास्ते ईद क़रार दिया है और तुम्हे इस ईद के क़ाबिल बनाया है, इसलिए अल्लाह को याद करो खुदा भी तुमको याद रखेगा , उस से दुआ मांगो वह तुम्हारी दुआ क़ुबूल करेगा
मन ला यहज़ुरूहुल फ़क़ीह , जिल्द १, पेज ५१७
🌹iltemase dua🌹
SYED HAIDER ABBAS RIZVI
MUMBAI